Facebook profile lock kaise kare? | Facebook 3D photo kaise banaye?

Sharing is Caring

 
Facebook profile lock kaise kare?, Facebook 3D photo kaise banaye?
 
Facebook profile Lock kaise kare (how to lock Facebook profile in Hindi), Facebook profile unlock kaise kare,  Facebook mein 3D photo kaise banaye janiye hindi mein.
 
Hello Dosto, Aap ak Facebook user ho to ye article aapke liye bahut hi helpful hone wala hai. Kyunki is article mein main aapko Facebook ki 2 new features facebook profile lock aur FB 3D photo creator ke bare mein bataunga. Is article me apko bataunga ki Facebook profile lock kaise kare?,  Facebook me 3D photo kaise banaye?
In sare chij ke bare mein acche se jankari ke liye is article ko pura ant Tak padhna. Yahan per acchi tarike se explain karke aapko samjhane ki koshish karunga. To chaliye shuru karte hai
 
 
 
Jaise ki aap jante honge ki Facebook ek bahut popular social media platform hai Jahan se aap apni doston ke sath chatting kar sakte ho, online call kar sakte ho, video call bhi kar sakte ho, dosto ke sath apni picture share kar sakte ho, video share kar sakte ho iske alava bhi aap naya naya dost bana sakte ho.
 
Facebook launch hua tha 2004 mein. Mark Zuckerberg ne Facebook ko launch kiya tha. Uske bad se dhire dhire Facebook ki popularity badhta Gaya aur Facebook mein naya naya features add hota Gaya. Aur aaj ki date mein bhi Facebook apni user ki hisab se naya naya features add kar raha hai aur Facebook ko user-friendly aur secure banaa raha hai.
 
 
Halhi mein Facebook ne user ke privacy ke liye ek naya feature add kiya hai. Vah hai Facebook profile lock karne ka feature. kuch din pahle Facebook mein 3d photo banane ka feature add kiya tha. Ab apko bata dete hain ki Facebook profile lock feature kya hai, aur Facebook profile lock kaise kare.
 

 

Facebook profile lock kya hai? – What is Facebook profile lock feature in hindi?

Facebook ne aapne user ke information ko dusre anjan Facebook user se protect karne ke liye ya feature launch kiya hai. Facebook mein bahut sare aise user hai jo aapne information ko Jaise ki aapne profile picture and others information dusre unknown logon se chhupana chahta hai un logon ke liye ya feature bahut helpful hai.
 
Ap Facebook mein kisi unknown person ka profile visit karne ke time aap dekha hoga ki un sare profile ke profile picture aap full size mein open nahin kar pa rahe ho aur nam ke alava kuch bhi information aap nahin dekh pa rahe ho. Uski profile mein ‘This profile is locked’ show ho raha hai kyunki woh profile lock hai. Aisa aap apni profile ke sath bhi kar sakte ho ye profile lock feature on karke.
 
Apki Facebook account ko lock karoge to koi aisa Facebook user jo apki friend list mein nehin hai wah apki profile ki profile picture ke sath 4 ya 5 information ke alava kuch nahin dekh payega aur Aapki profile picture aur covered photo full size mein open nahin kar payega. Jo person aapki friend list mein hai siriph woh hi aapki profile ki information dekh payega. Ye ek bahut hi achha feature hai jisko use karke aap apni privacy ko secure kar sakte ho.
New Facebook  Features: Facebook profile lock kaise kare? aur Facebook 3D photo kaise banaye?
Profile Locked
 

 

Facebook profile lock karne se kya hoga?

  1. Apki Facebook friends ke alaba apki profile picture aur cover photo ko full screen mein nehin dekh payega.
  2. Apki Facebook friends ke alaba kisiko apki share Kiya huya post nehi Dekh payega.
  3. Apki profile ki screenshot koi nahi le payega.
  4. Apki story apke Facebook ke alalba koi dekh nehin payega.
  5. Ap jab koi photos aur videos share karoge wah apki Facebook friends ke sath hi share ho payega. Bahar ka koi nehin apki post nehin dekh payega.
 

 

Facebook Profile Lock Kaise Kare?- How To Lock Facebook Profile in Hindi?

Ab main aapko sikhata deta hu ki apni Facebook profile lock kaise kare. Step by step bataunga wah achhi tarah se follow karte rahana.

aur ek baat yah sare step Facebook lite app ke liye bhi same hai to Facebook lite app ke liye Isi step ko follow karna.
 
 
Step 1
 
Sabse pahle aap apni Facebook app Ko open koro.
 
 
Step 2

Right side mein 3 line ke upar click karo.

 
Facebook profile lock kaise kare?
 
 
 
 
Step 3

Apni facebook profile open karo.

 

Facebook profile lock kaise kare?

 
 
Step 4

Apni profile ke side mein ‘3 dot’ dekhne ko milega uske upar click Koro.

 
Facebook profile lock kaise kare?
 
 
 
 
 
 
 
Step 5
 
‘3 dot’ mein click karne ke bad ak naya page open ho jayega vahan per aapko ‘lock profile‘ ka option dekhane ko milega uske upar click karo.
 
New Facebook  Features, Facebook profile lock kaise kare?, Facebook 3D photo kaise banaye?
 
 
 
 
 
Step 6
 
ak naya page open ho jayega vahan per aapko lock profile ke bare mein kuchh information milega, vah ek bar check kar lena uske bad niche ‘lock your profile’ option upar click karoge to aapki Facebook profile lock ho jayega.
 
Facebook profile lock kaise kare?
 
 
 
 
 

Facebook Profile Unlock Kaise kare? – How to unlock Facebook profile in Hindi?

Facebook profile lock karne ke bad ho sakta hai aap apne profile ko unlock karna chahte ho to kaise kar paoge vah ab main batata hun.

FB profile unlock karne ke liye
 
 
Step 1
 
Aapne profile mein us ‘3 dot’ ke upar click Koro.
 
Facebook profile unlock kaise kare?
 
 
 
 
Step 2
 
pehle jaha per aapko lock profile ka option Mila tha vahin per aapko ‘unlock profile’ ka option mil jaega. Us ‘unlock profile’ option ke upar click Koro.
 
Facebook profile unlock kaise kare?
 
 
 
 
Step 3
 
Fir ‘unlock’ option ke upar click karo.
 
Facebook profile unlock kaise kare?
 
 
 
 
 
Step 4
 
Uske bad apko kuch information dekhne Ko milega Wah padhke scorl down karo. Fir ‘Unlock Your Profile’ Option ke upar click karo.
 
Facebook profile unlock kaise kare??
 
 
aapki profile unlock ho jayegi Isi tarah se aap apni profile ko unlock kar sakte ho.
 
 
 
 

 

Facebook 3D Photo Feature kya hai?

Ab main bat karta hu Facebook 3d Photo feature ke bare mein.Facebook ki ye feature bahut hi bariya feature hai. Is feature ko use karke aap koi bhi normal photo Ko Facebook app mein 3D photo mein convert kar sakte ho aur vah aap Facebook mein dosto ke sath share kar sakte ho. Ab aapko 3D photo banane ke liye koi 3rd party application ki jarurat nahin padega.
 
3D photo dekhne mein bhi bahut hi achcha aur unique lagta hai. Ye 3D photo aap dosto ke sath Facebook mein share karoge to aapki photo aur dusri photo se alag hoga aur dekhne mein bhi bahut attractive hoga. But sabse pahle ham Jaan lete Hain ki yah 3D photo Aslimein hota kya hai.
 
 
 

 

What is 3D Photo? – 3D photo kya hota hai?

3D photo mein 3D ka full form  hota hai Third Dimension matlab tisra Akar.
Matlab 3D photo mein ak alag layer add hota hai jaha par aapki focus photo se uski background Ko alag kar deta hai aur vah picture dekhane mein live jaisa lagta hai.
 
 
Jaise ki aap jo picture dekhte ho mobile mein jo photo aap capture karte ho vah photo 2D photo hota hai matlab un photo mein aapko ek hi layer dekhne ko milega. Jaise ki aap apni mobile mein aapki ak selfie capture karoge to wah 2D hota hai kyonki un photo mein apki pictures aur background ak layer mein hota hai. Jab aap us photo ko 3D mein convert karoge to uha par ek naya background ki layer ban jata hai Jahan per aap ki picture se aapki background ko alag dekhne ko milega. Jaha par us selfie photo mein aapko lagega ki aapki picture se aapki  background distance mein hai aur aapki background ki movement bhi dekhne ko milega.
Ab ham bat karte hai ki kaise aap Facebook mein 3D photo banakar dost ke sath share kar paoge.
Facebook 3d photo kya hai?, Facebook me 3d photo kaise banaye?
Facebook 3d photo
 

Facebook Me 3D Photo Kaise Banaye? – How to create and share 3D photo on Facebook?

Step by step bataunga wah follow karte rahana.
Yah par main ak baat bata deti hun ki yah feature aapko Facebook lite mein nahin milega.
 
Facebook mein 3D photo banane ke liye sabse pahle a
 
 
Step 1
 
Facebook app ko latest version mein update karlo.
 
 
 
Step 2
Update karne ke bad Facebook app ko open karo.
 
 
 
Step 3
 
Facebook ki main page ki upar mein ‘write something here…’ ya ‘what’s on your mind’ ya ‘post a status upade’ ka section milega jaha se aap Facebook mein story post karte ho vahan per click karo.
 
Facebook 3D photo kaise banaye?
 
 
 
Step 4
 
Click karne ke bad us page ki niche aapko ‘3D photo’ ka option dekhne ko milega. Us ‘3D photo’ option ke upar click karke aap jis photo ko 3D banana chahte ho us photo ko select koro.
Facebook 3D photo kaise banaye?
3D photo Option
 
 
 
Step 5
Uske bad aap ki photo 3D mein convert hona start ho jaye ga. Kuch second time lega uske bad aap ki photo 3D mein convert ho jaye ga.
 
Ab aap is  photo ko facebook me post kardo.
 
Isi tarah se aap Facebookapp mein 3D photo banaa kar Dosto ke sath share kar sakte ho.
 
 

Facebook 3D feature Supported device

Yah par ek bat hai ki Facebook ki ye feature har smart phone mein dekhne ko nahin milega. Kuch hi smart phone mein hi dekhne ko milega. Un sare device ka list de deta hu.
 
 
Android:
Samsung Galaxy Note 8, Note 9, S9+, Note 10, Note 10+, all S10 models, Galaxy Fold
Pixel, Pixel XL, Pixel 2, Pixel 2 XL, Pixel 3, Pixel 3 XL
 
 
 
iOS:
iPhone 7+, 8+, X, XS, XS Max
In sare device ke alava bhi bahut sare device mein aapko yah feature dekhne ka milega. Aapko ye feature Mila ki nahin vah mujhe comment section mein jarur Bata dena.
 
 
 
 

Conclusion

Yehi tha Facebook ki do naya features facebook Profile Lock aur Facebook 3D photo Creator. Umid karta hu ki is article me bataya geya Facebook Profile Lock Kaise Kare?, Facebook profile unlock kaise kare? Aur Facebook me 3D photo kaise Banaye? aap acche se jaan Gaye honge. To yahi tha aaj ka article. Is article ko kaisa laga vah mujhe jarur comment section mein bata dena aur kuchh bhi galat is article mein kiya to wah mujhe Jarur comment section mein Bata Dena. aur Is tarah Ki information pane ke liye is website mein jarur visit karte rahana.

 
Thank You 🤗


Sharing is Caring

Leave a Comment